Manifesto
Namaskar me Utkarsh dubey aapka sathi aapka sevak aap logo ke liye achchi suvidhaye jaise ki
*Education: jaise ki aap sabhi logo ko pta hai ki jis prakar aaj kl private schools me manmani fees mangte he jis Karan se garibo ke bacche achche schools me nahi pd pate or jaha tk mera manana hai me to sarkari schools me hi itni behtar Shiksha dilwaunga jisse ki garibo ke bachcho ko bhi acchi Shiksha mil sake or wo competition ko fight kr sake . Sarkari school me bachcho ki kami hoti ja rahi hai me pura prayas krunga ki jayada se jayada bachche sarkari schools me pde or behtr Shiksha Hasil karen.
*Rozagar:Hamara desh duniya me sabse jyada young generation wala desh hai or yahi log pad likh kr bhi berozgar hai en yuvao ke liye sarkari kshetra me nokriya dilwaoonga jisse ki yuvao ko aage badne ka moka mile.
*Corruption: Aaj ke time me sabse bada jo challenge he wo he bharshtachar jiski wajah se bahut sare log apna kam nahi krwa pate sarkari nokriyo me bhi Dalal baithe huye he joki kam nahi hone dete unhe bilkul khatam kiya jayega jisske ki sabhi Ko kam krane me aasani ho
*kisan:kisan jise ki hum ek taraf to Ann data bolte he or unhi k sath karj mafi ke nam pr khilwad kar uski Yogytao ka mazak banate hain. Me kisi karz mafi ke bajay kisano ko unki fasalo ka uchit moolya pradhan karwaoonga or Aaye din hone wale Nuksan ke liye unhe Fasal Bima jaisi yojnao se joda jayega taki kisi kisan Ko mazbor hokar Suicide na karni pade
*Pollution: hamari body ko saf hawa saf pani ki jaroort hoti he joki hum logo ko nahi mil pati hai hum pollution ko km krne ke liye Desel se chalne wale vahano kis sankhya niyantrit krenge or cng or petrol se Chalane wale Vehicles Ko badhava diya jayega.
pani ko saf banane ke liye water recycling centre kholenge or jaha pani ki kami he waha pani booster lagwayenge
*Private sector job: Private job me bhi logo ko pura grade pay nahi diya ja raha he or malik apni manmani krte hain aisa sab kuch band krwaya jayega pura Pay diya jayega or sari suvidhaye di jayegi jisse ki private sector me kam karne wale lig bhi Aatm samman se jee sake.
Laghu udhogo ke kam bhi bdawa diya jayega
VOTE NOW