Manifesto
1- Buniyadi Suvidhayen- Gaon ,kasbon aur shahar(city) me buniyadi suvdhaon ka vikas jaise har ghr ko shauchalay, gareebon ko pakke makan chahe wo dalit ho ya sawarn,hindu ho ya muslim, gareebon ko nishulk gas connection, pakki sarak, light ka connection, 24 ghante light ki suvidha, pani ki samsya door karne k liye sarkari handpump aur anya vikalp ka vikas, har gaon aur kasbe me ek samudayik bhawan. sarkon ka chaurikarn va durustikaran, nye sarkon ka nirman, anya sahron (cities) se behtar road connectivity. 2- Siksha (Education)-Sarkari vidyalyaon ki dasa aur disha me sudhar, sikshakon (Teachers) ki uplabdhata,students ko free books pradan karna, padhaai ki gunvatta me sudhar, gareebon ko vishesh riyayat aur scholership, school me light, pankha, desk, shauchalay ki vyavstah, school k kaamkaj me pardarshita lana aur letlatifi ko door karna, higher education k liye har jile me ek bade colleges ki sthapna, aakhiri vyakti tk shiksha ki pahuch ko sunishit karna. 3- Krishi- jaise ki main gaon me rahta hu aur kisan parivar se sambandh rakhta hu toh mai krishi k kshetra me kya samsyaen hai wo bhali bhanti janta hu unhe door karne k liye main nimn kadam uthaunga jaise krishi sudhar, sinchaai vyavstha me sudhar, samay pr nahron me pani ki uplabdhta, jaha pr tubwell hai uski samay pr marammat va dekhrekh sunischit karna, samay pe aur aasani se beej aur klhad ki uplabdhata, fasal ki uchit samay va uchit daam pr bikri taki fasal kharab na ho jae aur bikri ki suvidha gaon me h pradan karna taki kisanon pe atirikt bojh na pade, krishi ki nayi takneek ka vikas, yantrikaran ko badhawa, hr gaon k liye krishi sahayk ki niyukti, aapda se fasal nasht ho jane pr uchit muawja( jitna ki kisan ko us fasal se prapt hota jo nasht ho gyi). 4- Rojgar ( Employment)- Rojgar k liye janpad me uplabdh sansadhano ka upyog, aonla udyog ka vikas aur viastar, karkhano ki sthapna, laghu udyogon ka vikas aur vistar, udyogo ko shuru karne hetu vatavaran ka mirman va badhawa, bahari niveshon ke aakarshan hetu mahol bana aur suvidhayen pradan karna, naye naye rajgarpark udyogo va sansadhano ka vikas. 5- Svasthya Sevayen ( Health)- svasthya sevaon k sudhar hetu nye hospitals ka nirman aur maujooda hospitals ka vikas aur vistar, specialist doctors ki niyukti, riktiyon ko bharna, zruri staff ki niyukti, ambulance ki seva me vistar aur logon tk aasan pahunch, free ambulance service, gareebon ko free ilaj, logon ko behtareen swasthya suvidhayen, laailaj bimarion k upchar hetu janpad star pr ek bde hospital ka nirman, karyapranali me pardarshita, uchit samay par seva pradan krna, letlatifi khatm karna. 6- Yatayat (Transportation)- yatayat ki sevaon va suvidhaon ka vistar aur vikas, raatri me yatra hetu vishesh prabandh, sarkari yatayat vahno ki paryapt matra me uplabdhata, daggaamar vahnon se mukti, uchit aur vahniya (affordable) yatra kiraya, yatrion ki suraksha ka prabandh, Delhi, Mumbai aur anya shahron (cities) k liye train ki sankhya me badhotri hetu kadam tatha maujood trains ke feron me badhottri. 7- Nagrik, Mahila Suraksha aur Kannon- Nagrikon ki suraksha aur kanoon ki vyavstah bnaye rakhne hetu police department ko adhik adhikar, khali padi riktion (vacaencies) ko bharna, adhik aur paryap matra me mahila police karmiyon ki niyukti, police ko hi-tech banana, police adhikaryion ki jawabdehi sunischit karna, kisi bhi kesh me twarit karyvaai avm apradhiyon ki dharpakad, aparadhiyon ki saja sunishit karna, raat me police gasht badhan va sunishit karna, police ki karya pranali me spashtata aur pardarshita, bhrasht (corrupt) karmiyon ka nishkasan, police aur nagrikon k beech achhe sambandh aur aasan pahunch.