Manifesto
1- Garib, Asamarth ko free me Dene ki jagah local me hi rojgar k awsar pradan karna. Taki wo swayam apne pairo par khada ho sake.
2- Unke Bachho ko achchi kshiksha Dilana.
3- kisano ko unki fasal ka uchit daam Dilana avam unhe nayi takniko k bare me jankari Dena v Amal karwana Taki free ki sthiti nirmit hi na ho na hi karja maafi ki adat Bane.
4- Muft naam k shabd ko khatm karna aur agar jarurat pade to vaastvik vyakti ko hi time bonded help karna.
5- Sabhi department me Visangatiyo ko door karna.
6- Departmently Arakshan Khatm karna.
7 - Jaruratmand logo ko hi time bonded Arakshan Dena avam Jo vyakti Arakshan ka labh lekar apne aap ko sudrid Kar Chula h uska v parivar ka Arakshan Khatm karna.
8- Education me Govt Schools ko private sector se jyada Behtar banana
9- Hospitality ko Behtar banane k liye Private sector ki tarha sabhi machinery avam staff available karana.
10. Sabhi department me Employee avam rajnitik pado par padasth logo ko unki jimmedari soupna Taki public k saath pardarshita aa sake.
11. Businessman k saath Govt ki sahi neetiyo ka Mulyankan kar Vyaparik paddhatiyo ko sugam v saral banane ka prayas karna.
12. Sarkari noukriyo me arakAran Jaruratmand ko hi Dena Taki desh ko 1 intelligent person mil sake .