Your Profile is 100% Completed

ankit patel


State: Uttar Pradesh
Loksabha Seat: Jalaun
Education Detail: M.TECH.
Profession Detail: student
Criminal Case: No
Income: Below 1 L
Total Votes: 5

Manifesto


kisan awara pashu se bahut preshan hai gaushala ke name pr jhhut bola gya  .kisan ko din rat kheto pr rhna padta hai. kheti ke liye pani ki samsya hai water level niche chla jata hai to waterpump 10 fit gahrai me rakhna padta hai .to jagah jagah kuchh duri pe tubbel lgna chahiye . summersevel ka connection kisano ko jaldi milna chahiye or kheti me sichai ke liye light me chhut milni chahiye . gov. gehu ki kharid karti hai .to gehu kharid  ke liye dharm kata km hote hai ek kendra pr mal jyada hota  hai jisase kisan presan rahta hai . to unki sankhya badni chahiye . student pareshan hai koi bharti me pardarshita nahi hai hmesa paper out ho jata hai . police ki bharti ka result ghosit nhi kiya msg ke through btaya gya. matlb  result goshit hona chahiye tha . light ki problm gav me sahi nhi aati .or bahut km aati gav me bhi 20 hour light honi chahiye . primery school me siksha bahut kamjor hai . every department me curraption hai bina paise ke kam nhi hote. police ,DM,sdm , sabhi log netao ke isharo pr kam krte .logo ke  nhi sunte . kisano ki karja mafi honi chahiye .kisan karja se bahut presan hai.yogi ne jhhut bola.bade chhote sabhi ka maf hona chahiye. gass connection ke name rupya liya jata hai . shochalay ke name rupya liya jata tb jake logo tak pahuchta bina rupya ke kuchh nhi hota. btc student ki scholarship puri nhi aati .jitni fees hai utni scholar milna chahiye .sbko milna chahiye .kuchh ki aati kuchh ki nhi aati .    talab pr log kabja kr rhe goverment so rhi hai.